Firaq - Main Hosh-E-Anaadil Hun Mushkil Hai Sambhal Jaana

Main Hosh-E-Anaadil Hun Mushkil Hai Sambhal Jaana
Ae Baad-E-Saba Meri Karwat To Badal Jaana

Taqdeer-E-Muhbbat Hoon Mushkil Hai Badal Jaana
Sau Baar Sambhal Kar Bhi Maaloom Sambhal Jaana

Uss Aankh Ki Masti Hoon Ai Bada-Kasho Jiska
Uth Kar Sare-Maikhana Mumkin Hai Badal Jaana

Ayaam-E-Baharaan Mein Diwaanon Ke Tevar Bhi
Jis Simt Nazar Utthe Aalam Ka Badal Jaana

Ghanghor Ghataon Mein Sarshaar Fazaaon Mein
Makhmoor Hawaon Mein Mushkil Hai Sambhal Jaana

Hun Lagzish-E-Mastaana Maikhaana-E-Aalam Mein
Barq-Nigaah-E-Saaqi Kuch Bach Ke Nikal Jaana

Iss Gulshan-E-Hasti Mein Kam Khilte Hain Gul Aise
Duniya Mehak Utthe Gi Tum Dil Ko Masal Jana

Main Saaz-E-Haqeeqat Hoon Soya Hua Naghma Tha
Tha Raaz-E-Nihaan Koi Pardon Se Nikal Jaana

Hoon Nakhat-E-Mastaana Gulzaar-E-Muhbbat Mein
Madhoshi-E-Aalam Hai Pehlu Ka Badal Jaana

Masti Mein Lagaavat Se Uss Aankh Ka Ye Kehna
Mai-Khwaar Ki Niyat Hoon Mumkin Hai Badal Jaana

Jo Tarz-E-Ghazal-Goi ‘Momin’ Ne Tarah Ki Thi
Sad-Haif 'Firaq' Uss Ka Sad-Haif Badal Ajana

  --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>