Ghalib - Baazeechaa-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage

Baazeechaa-E-Atfaal Hai Duniya

Baazeechaa-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage
Hota Hai Shab-O-Roz Tamaasha Mere Aage

Ik Khel Hai Aurang-E-Sulemaan Mere Nazdeek
Ik Baat Hai Eijaz-E-Maseeha Mere Aage

Juz Naam Naheen Soorat-E-Aalam Mujhe Manzoor
Juz Waham Naheen Hasti-E-Ashiyan Mere Aage

Hota Hai Nihaan Gard Mein Sehara Mere Hote
Ghisata Hai Jabeen Khaak Pe Dariya Mere Aage

Mat Pooch Ke Kya Haal Hai Mera Tere Peeche
Too Dekh Ke Kya Rang Tera Hai Mere Aage

Sach Kahte Ho, Khudbeen-O-Khudaaraa Na Kyon Hoon
Baitha Hai But-E-Aainaa-E-Seemaa Mere Aage

Phir Dekhiye Andaaz-E-Gul-Afshaani-E-Guftaar
Rakh De Koee Paimaanaa-O-Sahba Mere Aage

Nafrat Ka Gumaan Guzre Hai, Main Rashk Se Guzaraa
Kyon Kar Kahoon, Lo Naam Na Us Ka Mere Aage

Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khinche Hai Mujhe Kufr
Ka'aba Mere Peeche Hai Kaleesa Mere Aage

Aashiq Hoon, Pa Maashooq-Farebee Hai Mera Kaam
Majnoon Ko Bura Kehti Hai Laila Mere Aage

Khush Hote Hain Par Wasl Mein Yon Mar Naheen Jaate
Aayee Shab-E-Hijaraan Ki Tamanna Mere Aage

Hai Mauj-Zan Ik Qulzum-E-Khoon, Kaash, Yahee Ho
Aata Hai Abhee Dekhiye Kya-Kya Mere Aage

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>