Ghalib - Be-Aitadaaliyon Se Subuk Sab Main Ham Hue


Be-Aitadaaliyon Se Subuk Sab Main Ham Hue
Jitne Ziyaada Ho Gaye Utne Hi Kam Hue

Pinhaan Tha Daam Sakht Qarib Aashiyaan Ke
Udne Na Paaye The Ki Giraftaar Ham Hue

Hasti Hamaari Apni Fanaa Par Daleel Hai
Yaan Tak Mite Ke Aap Ham Apni Qasam Hue

Sakhti Kashaan-E-Ishq Ki Pooche Hai Kya Khabar
Wo Log Rafta-Rafta Saraapa Alam Hue

Teri Wafa Se Kya Ho Talaafi Ki Dahar Main
Tere Siwaa Bhi Ham Pe Bahut Se Sitam Hue

Likhte Rahe Junoon Ki Hikaayat-E-Khoon Chakaan
Harchand Is Main Haath Hamaare Qalam Hue

Allah Re! Teri Tundi-E-Khu Jis Ke Beem Se
Azzaa-E-Naala Dil Main Mere Rizqe-Ham Hue

Ahal-E-Hawas Ki Fatah Hai Tark-E-Nabard-E-Ishq
Jo Paanw Uth Gaye Wo Hi Un Ke Alam Hue

Naal-E-Adam Main Chand Hamaare Supurd The
Jo Waan Na Khinch Sake So Wo Yaan Aake Dam Hue

Chodi ‘Asad’ Na Ham Ne Gadaai Main Dil Lagi
Saail Hue To Aashiq-E-Ahal-E-Karam Hue

  ---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>