Ghalib - Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona


Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona
Aadmee Ko Bhi Mayassar Naheen Insaan Hona

Giriya Chaahe Hai Kharaabi Mere Kaashaane Ki
Dar-O-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona

Waa-E-Deewaangi-E-Shauq, Ke Har Dam Mujhko
Aap Jaana Udhar Aur Aap Hee Hairaan Hona

Jalwa Az Bas Ki Taqaaza-E-Nigah Karta Hai
Jauhar-E-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona

Ishrat-E-Qatl-Gah-E-Ahl-E-Tamanna Mat Pooch
Id-E-Nazzaara Hai Shamsheer Ka Uriyaan Hona

Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-E-Tamanna-E-Nishaat
Too Ho Aur Aap Ba-Sad Rang-E-Gulistaan Hona

Ishrat-E-Paara-E-Dil, Zakhm-E-Tamanna-Khaana
Lazzat-E-Reesh-E-Jigar Gharq-E-Namakdaan Hona

Kee Mere Qatl Ke Baad Usne Jafa Se Tauba
Haay Us Zood-E-Pashemaan Ka Pashemaan Hona

Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat ‘Ghalib'
Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>