Ghalib - Chahiye Achchon Ko Jitna Chahiye

Chahiye Achchon Ko Jitna Chahiye

Chahiye Achchon Ko Jitna Chahiye
Ye Agar Chaahen To Phir Kya Chahiye

Sohbat-E-Rinda Se Waajib Hai Hazar
Jaa-E-Mai Apne Ko Khencha Chahiye

Chaahne Ko Tere Kya Samjha Tha Dil
Baare Ab Is Se Bhi Samjha Chahiye

Chaak Mat Kar Jeb Be Ayyaam-E-Gul
Kuch Udhar Ka Bhi Ishaara Chahiye

Dosti Ka Parda Hai Begaangi
Munh Chupaana Ham Se Chhoda Chahiye

Dushmani Main Meri Khoya Ghai Ko
Kis Qadar Dushman Hai Dekha Chahiye

Apni Ruswaai Main Kya Chalti Hai Sai
Yaar Hi Hangama Aara Chahiye

Munhsir Marne Pe Ho Jis Ki Umeed
Naaumeedi Us Ki Dekha Chahiye

Gaafil In Mah Talaaton Ke Waaste
Chaahne Waala Bhi Achcha Chahiye

Chaahte Hain Khubruon Ko Asad
Aap Ki Surat To Dekha Chahiye

    ------------------

Post a Comment

0 Comments

–>