Ghalib - Dil Hi To Hai Na Sang-O-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon

 Dil Hi To Hai Na Sang-O-Khisht

Dil Hi To Hai Na Sang-O-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon
Royenge  Ham   Hazaar  Baar,  Koi  Hamein  Sataaye  Kyon

Dair Nahin, Haram Nahin,  Dar Nahin, Aastaan Nahin
Baithe Hain Rehguzar Pe Ham, Ghair Hamein Uthaaye Kyon

Jab Woh  Jamaal-E-Dil-Faroz, Soorat-E-Meher-E-Neem-Roz
Aap Hi Ho Nazzaara_Soz, Parde Mein Munh Chupaaye Kyon

Dashna-E-Ghamza Jaan-Sitaan, Naawak-E-Naaz Be-Panaah
Tera Hi  Aks-E-Rukh  Sahi, Saamne  Tere Aaye  Kyon

Qaid-E-Hayaat-O-Band-E-Gham  Asl Mein Dono  Ek Hain
Maut Se  Pehle  Aadmi  Gham  Se  Nijaat Paaye Kyon

Husn Aur Uspe  Husn_Zan Rah Gayi Bulhawas Ki Sharm
Apne  Pe  Aitmaad  Hai,  Ghair  Ko  Aazmaaye  Kyon

Waan Wo Ghuroor-E-Iz'z-O-Naaz Yaan Yeh Hijaab-E-Paas-E-Waz'a
Raah  Mein  Ham  Mile  Kahaan,  Bazm  Mein  Wo  Bulaaye Kyon

Haan  Wo  Nahin  Khuda-Parast,  Jaao  Wo Be-Wafa Sahi
Jisko Ho Deen-O-Dil 'Azeez, Uski Gali Mein Jaaye Kyon

'Ghalib'-E-Khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain
Roiye   Zaar-Zaar  Kya,   Keejiye   Haay-Haay  Kyon

 ---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>