Ghalib - Koi Ummeed Bar Nahin Aati

Koi Ummeed Bar Nahin Aati

Koi Ummeed Bar Nahin Aati
Koi Surat Nazar Nahin Aati

Maut Ka Ek Din Muayyan Hai
Neend Kyun Raat Bhar Nahin Aati

Pahle Aati Thi Haal-E-Dil Pe Hansi
Ab Kisi Baat Par Nahin Aati

Jaanta Hoon Sawaab-E-Taat-O-Zahad
Par Tabiyat Idhar Nahin Aati

Hai Kuch Aisi Hi Baat Jo Chup Hoon
Warna Kya Baat Kar Nahin Aati

Kyun Na Chikhoon Ki Yaad Karte Hain
Meri Aawaaz Gar Nahin Aati

Daag-E-Dilagar Nazar Nahin Aata
Bu Bhi Ai Chaaragar Nahin Aati

Ham Wahaan Hain Jahaan Se Ham Ko Bhi
Kuch Hamaari Khabar Nahin Aati

Marte Hain Aarzu Main Marne Ki
Maut Aati Hai Par Nahin Aati

Kaaba Kis Munh Se Jaaoge ‘Ghalib’
Sharm Tumko Magar Nahin Aati

  -------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Join me on Google Pay, a secure app for money transfers, bills and recharges. Enter my code pE6d1 to earn ₹21 back on your first payment! https://g.co/payinvite/pE6d1

    ReplyDelete

–>