Khumar - Ai Maut Unhe’n Bhulaaye Zamaane Guzar Gaye



Ai Maut Unhe’n Bhulaaye Zamaane Guzar Gaye
Aa Jaa Ki Zahar Khaaye Zamaane Guzar Gaye

O Jaane Waale Aa Ki Tere Intazaar Me’n
Raste Ko Ghar Banaaye Zamaane Guzar Gaye

Gham Hai Na Ab Khushi Hai Na Ummid Hai Na Yaas
Sab Se Najaat Paaye Zamaane Guzar Gaye

Kyaa Laayaq-E-Sitam Bhi Nahi’n Ab Mai’n Dosto’n
Patthar Bhi Ghar Me’n Aaye Zamaane Guzar Gaye

Jaane Bahaar Phool Nahi’n Aadami Hoo’n Mai’n
Aa Jaa Ki Muskuraaye Zamaane Guzar Gaye

Kyaa Kyaa Tawaqqoaat Thi Aaho’n Se Ai 'Khumar'
Ye Tir Bhi Chalaaye Zamaane Guzar Gaye


------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>