Khumar - Hijr Ki Shab Hai Aur Ujaalaa Hai




Hijr Ki Shab Hai Aur Ujaalaa Hai
Kyaa Tasawwur Bhi Lutane Waalaa Hai

Gham To Hai Ain Zindagi Lekin
Gham-Gusaaron Ne Maar Daalaa Hai

Ishq Majaboor-O-Naamuraad Sahi
Phir Bhi Zaalim Kaa Bolbaalaa Hai

Dekh Kar Barq Ki Pareshaani
Aashiyaan Khud Hi Phoonk Daalaa Hai

Kitne Ashkon Ko Kitni Aahon Ko
Ik Tabassum Men Us Ne Dhaalaa Hai

Teri Baaton Ko Mai’n Ne Ai Waaiz
Ahtaraaman Hansi Me’n Taalaa Hai

Maut Aaye To Din Phire Shaayad
Zindagi Ne To Maar Daalaa Hai

Sher Nazmen Shaguftagi Masti
Gham Ka Jo Roop Hai Niraalaa Hai

Laghzishen Muskuraai Hain Kyaa Kyaa
Hosh Ne Jab Mujhe Sambhaalaa Hai

Dam Andhere Men Ghut Rahaa Hai Khumaar
Aur Chaaron Taraf Ujaalaa Hai

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>