Majaz - Aasmaan Tak Jo Naalaa Pahunchaa Hai

Majaz - Aasmaan Tak Jo Naalaa Pahuncha


Aasmaan Tak Jo Naalaa Pahunchaa Hai
Dil Ki Gehraaion Se Niklaa Hai

Meri Nazron Mein Hashr Bhi Kya Hai
Main Ne Un Ka Jalaal Dekha Hai

Jalwa-E-Toor Khvaab-E-Moosa Hai
Kis Ne Dekha Hai Kis Ko Dekha Hai

Haaye Anjaam Us Safeene Ka
Na-Khuda Ne Jise Duboya Hai

Aah Kya Dil Mein Ab Lahoo Bhi Nahin
Aaj Ashkon Ka Rang Phika Hai

Jab Bhi Aankhen Milin Un Aankhon Se
Dil Ne Dil Ka Mizaaj Poocha Hai

Wo Jawaani Ke Thi Hareef-E-Tarab
Aaj Barbaad-E-Jaam-O-Sehba Bhi Nahin

Kaun Uth Kar Chala Muqabil Se
Jis Taraf Dekhiye Andhera Hai

Phir Meri Aankh Ho Gayi Namnaak
Phir Kisi Ne Mizaaj Poocha Hai

Sach To Ye Hai Ke “Majaz” Ki Duniya
Husn Aur Ishq Ke Siva Kya Hai


  ---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>