Majaz - Barbaad Tamannaa Pe Ataab Aur Zyaadaa

Majaz - Barbaad Tamannaa Pe Ataab Aur Zyaadaa


Barbaad Tamannaa Pe Ataab Aur Zyaadaa
Haan Meri Mohabbat Kaa Javaab Aur Zyaadaa

Royen Na Abhi Ahal-E-Nazar Haal Pe Mere
Honaa Hai Abhi Mujh Ko Kharaab Aur Zyaadaa

Aavaaraa-Va-Majanoon Hi Pe Maukoof Nahin Kuchh
Milne Hain Abhi Mujh Ko Khitaab Aur Zyaadaa

Uthen Ge Abhi Aur Bhi Toofaan Mere Dil Se
Dekhoon Gaa Abhi Ishq Ke Khvaab Aur Zyaadaa

Tapke Gaa Lahoo Aur Mere Deedaa-E-Tar Se
Dhadke Gaa Dil-E-Khaana-Kharaab Aur Zyaadaa

Ai Mutrib-E-Bebaak Koi Aur Bhi Naghmaa
Ai Saaqi-E-Fayyaaz Sharaab Aur Zyaadaa

      -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>