Majaz - Khud Dil Mein Reh Ke Aankh Se Parda Kare Koi

 Khud Dil Mein Reh Ke



Khud Dil Mein Reh Ke Aankh Se Parda Kare Koi
Haan Lutf Jab Hai Paake Bhi Dhundha Kare Koi

Tum Ne To Hukm-E-Tark-E-Tamanna Suna Diya
Kis Dil Se Aah Tark-E-Tamanna Kare Koi

Duniya Laraz Gayi Dil-E-Hiramaan-Nasib Ki
Is Tarah Saaz-E-Aish Na Cheda Kare Koi

Mujhko Ye Aarzu Vo Uthaayein Naqaab Khud
Un Ko Ye Intezaar Taqaza Kare Koi

Rangini-E-Naqaab Mein Gum Ho Gayi Nazar
Kya Be-Hijabiyon Ka Taqaza Kare Koi

Ya To Kisi Ko Jurrat-E-Didaar Hi Na Ho
Ya Phir Meri Nigah Se Dekha Kare Koi

Hoti Hai Is Mein Husn Ki Tauhin Ai 'Majaz'
Itna Na Ahal-E-Ishq Ko Rusva Kare Koi

   ----------------

Post a Comment

0 Comments

–>