Majaz - Nigaah-E-Lutf Mat Utha Khugar-E-Aalam Rehne De

Majaz - Nigaah-E-Lutf Mat Utha



Nigaah-E-Lutf Mat Utha Khugar-E-Aalam Rehne De
Hamen Naakaam Rehna Hai, Hamen Naakaam Rehne De

Kisi Maasoom Par Bedaad Ka Ilzaam Kya Maayeni
Ye Vehshat-Khez Baaten, Ishq-E-Bad-Anjaam Rehne De

Abhi Rehne De Dil Mein Shauq-E-Shorida Ke Hangaamen
Abhi Sar Mein Mohbbat Ka Junoon-E-Khaam Rehne De

Abhi Rehne De Kuch Din Lutf-E-Naghma, Mast-E-Sahb
Abhi Yeh Saaz Rehne De, Abhi Yeh Jaam Rehne De

Kahan Tak Husn Bhi Aakhir Kare Paas-E-Rawa-Daari
Agar Ye Ishq Khud Hi Farq-E-Khaas-O-Aam Rehne Do

Baaise Rindi 'Majaz' Ik Shayar-E-Mazdoor-O-Dehqaan Hai
Agar Shehron Mein Vo Badnam Hai, Badnam Rehne De

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>