Majaz - Saazgaar Hai Humdam In Dinon Jahaan Apna



Saazgaar Hai Humdam In Dinon Jahaan Apna
Ishq Shaadmaan Apna Shauq Kaamraan Apna

Aahen Be-Asar Kiski Naala-E-Naarva Kiska
Kaam Barha Aaya Jazba-E-Nihaan Apna

Kab Kiya Tha Iss Dil Par Husn Ne Karam Itna
Meharbaan Aur Iss Darje Kab Tha Aasman Apna

Uljhanon Se Ghabraaye Mai-Kade Mein Dar Aaye
Kis Qadar Tan Aasan Hai Zauq-E-Raayegaan Apna

Kuch Na Puch Ai Humdam Inn Dinon Mera Aalam
Mutrib-E-Hasin Apna Saaqi-E-Jawaan Apna

Ishq Aur Ruswaai Kaun Si Nai Shai Hai
Ishq Toh Azal Se Tha Ruswa-E-Jahaan Apna

Tum ‘Majaz’ Deewane Maslahat Se Begaane
Varna Hum Banaa Lete Tumko Razdaan Apna

               -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>