Meer - Aankhon Main Ji Mera Hai Idhar Yaar Dekhna

 Aankhon Main Ji Mera Hai


Aankhon Main Ji Mera Hai Idhar Yaar Dekhna
Aashiq Ka Apne Aakhri Deedaar Dekhna

Kaisa Chaman Ke Ham Se Asiron Ko Mana Hai
Chaak-E-Qafas Se Baag Ki Deewar Dekhna

Aankhen Churaaio Na Tuk Abr-E-Bahaar Se
Meri Taraf Bhi Deedah-E-Khoonbaar Dekhna

Ae Ham-Safar Na Aable Ko Pahunche Chashm-E-Tar
Laga Hai Mere Paaon Main Aa Khaar Dekhna

Hona Na Chaar Chashm Dik Uss Zulm-Paishaahn Se
Hoshiyaar Zinhaar Khabardaar Dekhna

Sayyad Dil Hai Daag-E-Judaai Se Rashk-E-Baag
Tujh Ko Bhi Ho Naseeb Ye Gulzaar Dekhna

Gar Zamzamaa Yahi Hai Koi Din To Hamsafir
Is Fasl Hi Main Ham Ko Giriftaar Dekhna

Bulbul Hamaare Gul Pe Na Gustaakh Kar Nazar
Ho Jaayega Gale Kaa Kahin Haar Dekhna

Shayad Hamaari Khaak Se Kuch Ho Bhi Ai Naseem
Girbaal Kar Ke Koocha-E-Dildaar Dekhna

Us Khush-Nigaah Ke Ishq Se Parhez Kijio ‘Meer’
Jaata Hai Leke Ji Hi Ye Aazaar Dekhna

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>