Meer - Dam-E-Subah Bazm-E-Khush Jahaan Shab-E-Gham


Dam-E-Subah Bazm-E-Khush Jahaan Shab-E-Gham Se Kam Na Thi Mehrbaan
Ki Chiraagh Tha So To Dud Tha Jo Patang Tha So GHubaar Tha

Dil-E-Khasta Jo Lahu Ho Gaya To Bhala Hua Ki Kahaan Talak
Kabhi Soz-E-Seena Se Daagh Tha Kabhu Dard-O-GHam Se Figaar Tha

Dil-E-Muzatarib Se Guzar Gai Shab-E-Wasl Apni Hi Fikr Main
Na Dimaagh Tha Na Faraagh Tha Na Shakeb Tha Na Qaraar Tha

Ye Tumhari In Dino Dostaan Mizhgaan Jis Ke GHam Main Hai Khoon-Chakaan
Wahi Aafat-E-Dil-E-Aashiqaan Kisu Waqt Hamse Bhi Yaar Tha

Kabhu Jaaygi Udhar Saba To Ye Kahiyo Us Se Ki Bewafa
Magar Ek “Meer”-E-Shikasta-Paa Tere Baagh-E-Taaza Main Khaar Tha

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>