Meer - Idhar Se Abr Uthkar Jo Gaya Hai

Idhar Se Abr Uthkar Jo Gaya Hai


Idhar Se Abr Uthkar Jo Gaya Hai
Hamaari Khaak Par Bhi Ro Gaya Hai

Masaaib Aur The Par Dil Ka Jaana
Ajab Ik Saaniha Sa Ho Gaya Hai

Muqaamir-Khaana-E-Aafaq Wo Hai
Ke Jo Aaya Hai Yaan Kuch Kho Gaya Hai

Sarahne ‘Meer’ Ke Aahista Bolo
Abhi Tuk Rote Rote So Gaya Hai

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>