Meer - Is Ahad Main Ilaahi Mohabbat Ko Kya Hua



Is Ahad Main Ilaahi Mohabbat Ko Kya Hua
Chhoda Wafa Ko Unne Muravvat Ko Kya Hua

Ummeed Vaar Vaada-E-Deedaar Mar Chale
Aate Hi Aate Yaaron Qayamat Ko Kya Hua

Bakshish Ne Mujh Ko Abr-E-Karam Ki Kiya Khijal
Ae Chashm-E-Josh Ashk-E-Nadaamat Ko Kya Hua

Jaata Hai Yaar Tegh Bakaf Ghair Ki Taraf
Ae Kushta-E-Sitam Teri Ghairat Ko Kya Hua

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>