Meer - Ulti Ho Gain Sab Tadbiren Kuch Na Dawa Ne Kaam Kiya

Ulti Ho Gain Sab Tadbiren


Ulti Ho Gain Sab Tadbiren Kuch Na Dawa Ne Kaam Kiya
Dekha Is Beemari-E-Dil Ne Aakhir Kaam Tamaam Kiya

Ahd-E-Jawaani Ro Ro Kaati Peeri Mein Li Ankhen Mund
Yaani Raat Bahut The Jaage Subah Hui Aaraam Kiya

Nahaq Hum Majbooron Par Tohmat Hain Mukhtaari Ki
Chaahte Hain So Aap Karen Ham Ko Abas Badnaam Kiya

Saare Rind Aubash Jahan Ke Tujh Se Sujood Mein Rahte Hain
Ban Ke Terhe Tirche Teekhe Sab Ka Tujhe Imaam Kiya

Sarzad Ham Se Adbi To Vahshat Mein Bhi Kam Na Hui
Koson Uski Ore Gaye Par Sajda Har Har Gaam Kiya

Kiska Kaaba Kaisa Qibla Kaun Haram Hai Kya Ahraam
Kooche Ke Uske Baashindon Ne Sab Ko Yahin Se Salaam Kiya

Yaan Ke Supaid-O-Siyah Mein Ham Ko Dakhl Jo Hai So Itna Hai
Raat Ko Ro Ro Ke Subh Kiya Ya Din Ko Joon Joon Shaam Kiya

Subhah-E-Chaman Mein Usko Kaahe Takleef-E-Hawa Le Aayi Thi
Rukh Se Gul Ko Mol Liya Qaamat Se Saari Ghulaam Kiya

Said-E-Simi Donon Uske Haath Mein Lekar Chorh Diya
Bhoole Uske Qaul-O-Qasam Par Hai Khayal-E-Kaam Kiya

Aise Aah-O-Ehraam-Khurda Ki Vahshat Khoni Mushkil Thi
Sihar Kiya Aijaz Kiya, Jin Logon Ne Tujh Ko Raam Kiya

‘Meer’ Ke Deen-O-Mazhab Ko Ab Puchhte Kya Ho Un Se Tum
Qashqa Khainche Dair Mein Baithe Kab Ka Tark Islaam Kiya

------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>