Sardar Jafri - Ek Joo-E-Dard Dil Se Jigar Tak Ravaan Hai Aaj

ghazal-ek joo e dard


Ek Joo-E-Dard Dil Se Jigar Tak Ravaan Hai Aaj
Pighlaa Huaa Ragon Men Ik Aatish-Fishaan Hai Aaj

Lab See Diye Hain Taa’na Shikaayat Kare Koi
Lekin Har Ek Zakhm Ke Munh Men Zabaan Hai Aaj
Taarikiyon Ne Gher Liyaa Hai Hayaat Ko
Lekin Kisi Kaa Roo-E-Hasin Darmiyaan Hai Aaj

Jeene Ka Vaqt Hai Yahi Marne Ka Vaqt Hai
Dil Apni Zindagi Se Bahut Shaadmaan Hai Aaj

Ho Jaataa Hoon Shahid Har Ahal-E-Vafaa Ke Saath
Har Daastaan-E-Shauq Meri Daastaan Hai Aaj

Aaye Hain Kis Nishaat Se Ham Qatl-Gaah Men
Zakhmon Se Dil Hai Choor Nazar Gul-Fishaan Hai Aaj

Zindaaniyon Ne Tod Diyaa Zulm Ka Ghuroor
Vo Dab-Dabaa Vo Raub-E-Hukoomat Kahaan Hai Aaj


----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>