Sardar Jafri - Phir Ek Din Aisaa Aaye Ga

nazm-phir ek din aisa aaega


Phir Ek Din Aisa Aaye Ga
Aankhon Ke Diye Bujh Jaayen Ge
Haathon Ke Kanval Kumhlaayen Ge

Aur Barg-E-Zabaan Se Nataq-Va-Sadaa
Ki Har Titali Ud Jaaye Gi

Ik Kale Samandar Ki Tah Men
Kaliyon Ki Tarah Se Khilti Hui
Phoolon Ki Tarah Se Hansati Hui
Saari Shaklen Kho Jaayen Gi

Khoon Ki Gardish Dil Ki Dhadakan
Sab Ranginiyaan So Jaayen Gi

Aur Neeli Faza Ki Makhmal Par
Hansati Hui Heere Ki Ye Kani
Ye Meri Jannat Meri Zamin
Is Ki Subahen Is Ki Shaamen
Be Jaane Hue Be Samjhe Hue
Ik Musht Ghubaar-E-Insaan Par
Shabnam Ki Rau Jaayen Gi

Har Cheez Bhula Di Jaaye Gi
Yaadon Ke Hasin Butkhaane Se
Har Cheez Utha Di Jaaye Gi
Phir Koi Nahin Ye Poochhe Ga
'Sardar' Kahan Hai Mahfil Men
Lekin Main Yahan Phir Aaoon Ga
Bachchon Ke Dahan Se Boloon Ga
Chidiyon Ki Zabaan Se Gaaoon Ga

Jab Beej Hansenge Dharati Men
Aur Konpalen Apni Ungli Se
Mitti Ki Tahon Ko Chheden Gi
Main Patti Patti Kali Kali
Apni Aankhen Phir Kholoon Ga
Sar Sabz Hatheli Par Lekar
Shabnam Ke Qatre Tauloon Ga

Main Rang-E-Hena Aahang-E-Ghazal
Andaz-E-Sukhan Ban Jaaoonga
Rukhsar-E-Uroos-E-Nau Ki Tarah
Har Aanchal Se Chhan Jaaoon Ga

Jaadon Ki Havaayen Daaman Men
Jab Fasal-E-Khazaan Ko Laayen Gi
Rahroo Ke Jawaan Qadmon Ke Tale
Sookhe Hue Patton Se Mere
Hansne Ki Sadaayen Aayen Gi

Dharati Ki Sunahri Sab Nadiyan
Aakash Ki Neeli Sab Jheelen
Hasti Se Meri Bhar Jaayen Gi

Aur Saara Zamaana Dekhe Ga
Har Qissa Mera Afsaana Hai
Har Aashiq Hai Sardar Yahaan
Har Mashooqa Sultana Hai

Main Ek Gurezaan Lamha Hoon
Ayyaam Ke Afsoon-Khaane Men
Main Ek Tadapata Qatra Hoon
Masaroof-E-Safar Jo Rahta Hai
Maazi Ki Suraahi Ke Dil Se
Mustaqbil Ke Paimaane Men

Main Sota Hoon Aur Jaagta Hoon
Aur Jaag Ke Phir So Jaata Hoon
Sadiyon Ka Puraana Khel Hoon Main
Main Mar Ke Amar Ho Jaata Hoon


-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>