Aatish - Husn-E-Paree Ik Jalwa-E-Mastaana Hai Us Ka

Husn-E-Paree Ik Jalwa

Husn-E-Paree Ik Jalwa-E-Mastaana Hai Us Ka
Hushyaar Wahi Hai Ke Jo Deewaana Hai Us Ka

Gul Aate Hain Hastee Mein Adam Se Hama-Tan-Gosh
Bulbul Ka Ye Naala Nahin Afsaana Hai Us Ka

Jo Chasm Ke Hairaan Hui Aaina Hai Us Ki
Jo Seena Ke Sad Chaak Hua Shaana Hai Us Ka

Wo Yaad Hai Uski Ke Bhula De Do Jahaan Ko
Haalat Ko Kare Ghair Wo Yaaraana Hai Us Ka

Yusuf Nahin Jo Hath Lage Chand Diram Se
Qeemat Jo Do Aalam Ki Hai Begaana Hai Us Ka

Aawaargi-E-Nikhat-E-Gul Hai Ye Ishaara
Jaame Se Jo Baahar Hai Wo Deewaana Hai Us Ka

Shukraan-E-Saaqi Azal Karta Hai ‘Aatish’
Labrez Mai Shauq Se Paimaana Hai Us Ka

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>