Amir Minai - Hans Ke Farmaate Hain Woh Dekh Kar Haalat Meri

ghazal-hans ke farmate hain



Hans Ke Farmaate Hain Woh Dekh Kar Haalat Meri
Kyun Tum Aasaan Samjhte The Mohabbat Meri

Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaqat Meri
Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri

Main Ne Aghosh-E-Tasawur Main Bhi Khencha To Kaha
Pis Gai-Pis Gai Bedard Nazakat Meri

Aaina Subah-E-Shab-E-Wasl Jo Dekha To Kaha
Dekh Zaalim Yeh Thi Shaam Ko Surat Meri

Yaar Pahlu Main Hai Tanhaai Hai Kah Do Nikle
Aaj Kyun Dil Main Chhupi Baithi Hai Hasarat Meri

Husn Aur Ishq Hum Aaghosh Nazar Aa Jate.
Kyon Tum Aasaan Samjhte The Mohabbat Meri

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>