Amir Minai - Jhonkaa Idhar Na Aaye Nasim-E-Bahaar Ka

ghazal-jhonka idhar na aaye


Jhonkaa Idhar Na Aaye Nasim-E-Bahaar Ka
Naazuk Bahut Hai Phool Charaagh-E-Mazaar Ka

Phir Baithe Baithe Waadaa-E-Wasl Us Ne Kar Liya
Phir Uth Khadaa Huaa Wahi Rog Intazaar Ka

Shaakho’n Se Barg-E-Gul Nahin Jhadte Hain Baagh Me
Zewar Utaar Raha Hai Uroos-E-Bahaar Ka

Har Gul Se Laala-Zaar Mein Ye Poochhta Hoon Main
Too Hi Pataa Bataade Dil-E-Daaghdaar Ka

Is Pyaar Se Fishaar Diyaa Gor-E-Tang Ne
Yaad Aa Gayaa Mazaa Mujhe Aaghosh-E-Yaar Ka

Hilti Nahin Hawaa Se Chaman Me Ye Daaliyaan
Munh Choomte Hain Phool Uroos-E-Bahaar Ka

Uthataa Hai Naazaa Me Wo Sarhaane Se Ai 'Ameer'
Mitaata Hai Aasara Dil-E-Ummeed-Waar Ka

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>