Bashi Badr - Ye Chaandni Bhi Jin Ko Choote Huye Darti Hai




Ye Chaandni Bhi Jin Ko Choote Huye Darti Hai
Duniya Unhi Phoolon Ko Pairon Se Masalti Hai

Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamaasha Hai
Jis Daal Pe Baithe Ho Woh Toot Bhi Sakti Hai

Labon Mein Chingaari Jaise Koi Rakh Jaaye
Youn Yaad Teri Shab Bhar Seene Mein Sulagti Hai

Aa Jata Hai Khud Khinch Kar Dil Seene Se Patri Par
Jab Raat Ki Sarhad Se Ek Rail Guzarti Hai

Aansoo Kabhi Palkon Par Der Tak Nahi Rukte
Udd Jate Hain Ye Panchi Jab Shaakh Lachakti Hai

Khush Rang Parindon Ke Laut Aane Ke Din Aaye
Bichde Huye Milte Hain Jab Barf Pighalti Hai

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>