Daagh - Khaatir Se Yaa Lihaaz Se Main Maan To Gaya

Khaatir Se Ya Lihaz Se Main Maan To Gaya

Khaatir Se Yaa Lihaaz Se Main Maan To Gaya
Jhoothi Qasam Se Aap Ka Imaan To Gaya

Dil Leke Muft Kahte Hain Kuch Kaam Ka Nahin
Ulti Shikayaten Rahin Ehasaan To Gaya

Ab Shaay-E-Raaz-E-Ishq Go Zillaten Huin
Lekin Use Jataa To Diya, Jaan To Gaya

Dekha Hai But-Kade Main Jo Ai Shekh Kuch Na Kuch
Iimaan Ki To Ye Hai Ki Iimaan To Gaya

Dartaa Hoon Dekh Kar Dil-E-Be-Aarzu Ko Main
Sunsaan Ghar Ye Kyun Na Ho Mehmaan To Gaya

Go Naama-Bar Se Khush Na Hua Par Hazaar Shukr
Mujh Ko Wo Mere Naam Se Pahchaan To Gaya

Hosh-O-Hawaas-O-Taab-O-Tavaan “Daagh” Jaa Chuke
Ab Ham Bhi Jaane Waale Hain Samaan To Gaya

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>