Daagh - Lutf Wo Ishq Main Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai

Lutf Wo Ishq Main Paaye Hain

Lutf Wo Ishq Main Paaye Hain Ki Jee Jaanta Hai
Ranj Bhi Itne Uthaaye Hain Kio Jee Jaanta Hai

Jo Zamaane Ke Sitam Hain Wo Zamaana Jaane
Tune Dil Itne Dukhaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai

Tum Nahin Jaante Ab Tak Ye Tumhare Andaaz
Wo Mere Dil Main Samaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai

Inhin Qadmon Ne Tumhare Inhin Qadmon Ki Qasam
Khaak Main Itne Milaaye Hain Ki Jee Jaanta Hai

Dosti Main Teri Dar-Parda Hamaare Dushman
Is Qadar Apne Paraaye Hain Ki Jee Jaanta Hai

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>