Faiz - Aaj Ke Naam Aur Aaj Ke Gham Ke Naam

Aaj Ke Naam Aur Aaj Ke Gham Ke Naam


Aaj Ke Naam
Aur
Aaj Ke Gham Ke Naam
Aaj Ka Gham Ki Hai Zindegi Ke Bhare Gulsitaan Se Khafa
Zard Patton Ka Ban
Zard Patton Ka Ban Jo Mera Des Hai
Dard Ka Anjuman Jo Mera Des Hai
Kilarkon Ki Afsurda Jaano Ke Naam
Kirm Khurda Dilon Aur Zabaanon Ke Naam
Post-Maino Ke Naam
Tange-Waalon Ke Naam
Rel-Baanon Ke Naam
Kaar-Khaanon Ke Bhole Jiyaalon Ke Naam
Baadshaah-E-Jahaan, Waali-E-Maasiva, Naebullah-E-Filarz, Dahaqaan Ke Naam

Jis Ke Dhoron Ko Zaalim Hanka Le Gaye
Jis Ki Beti Ko Daaku Utha Le Gaye
Haath Bhar Khet Se Ek Angusht Patwaar Ne Kaat Li Hai
Doosri Maaliye Ke Bahaane Se Sarkaar Ne Kaat Li Hai
Jis Ke Pag Zor Waalon Ke Paanvon Tale
Dhajjiyaan Ho Gayi Hai

Un Dukhi Maaon Ke Naam
Raat Main Jin Ke Bachche Bilakhte Hain Aur
Neend Ki Maar Khaaye Hue Baazuon Se Sanbhalate Nahin
Dukh Bataate Nahin
Minnaton Zaariyon Se Bahalte Nahin

Un Hasinaaon Ke Naam
Jinki Aankhon Ke Gul
Chilmanon Aur Darichon Ki Belon Pe Bekaar Khil Khil Ke
Murjha Gaye Hain
Un Byaahtaaon Ke Naam
Jinke Badan
Be-Mohabbat Riyakaar Sejon Pe Saj Saj Ke Uktaa Gaye Hain
Bewaaon Ke Naam
Katdiyon Aur Galiyon, Muhallon Ke Naam
Jinki Napaak Khashaak Se Chaand Raaton
Ko Aa Aa Ke Karta Hai Aksar Wazu
Jinki Saayon Main Karti Hai Aaho-Bukaa
Aanchalon Ki Hina
Chudiyon Ki Khanak
Kaakulon Ki Mahak
Aarzumand Seeno Ki Apne Pasine Main Jalne Ki Bu

Padhane Waalon Ke Naam
Wo Jo Ashaab-E- Tablo-Alam
Ke Daron Par Kitaab Aur Qalam
Ka Takaza Liye, Haath Phailaaye
Pahunche, Magar Laut Kar Ghar Na Aaye
Wo Maasum Jo Bholepan Main
Wahaan Apne Nanhe Chiraagon Main Lau Ki Lagan
Le Ke Pahunche Jahaan
Bant Rahe The Ghataatop, Be-Ant Raaton Ke Saaye
Un Asiron Ke Naam
Jin Ke Seeno Main Farda Ke Shabataab Gauhar
Jelkhaano Ki Shorida Raaton Ki Sar-Sar Main
Jal-Jal Ke Anjum-Numaan Ho Gaye Hain

Aane waale Dinon Ke Safiron Ke Naam
Wo Jo Khushbu-E-Gul Ki Tarah
Apne Paigaam Par Khud Fida Ho Gaye Hain

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>