Majaz - Ab Mere Paas Tum Aayi Ho To Kya Aayi Ho

Ab Mere Paas Tum Aayi Ho

Ab Mere Paas Tum Aayi Ho To Kya Aayi Ho
Main Ne Maana Ki Tum Ik Paikar-E-Raanaai Ho
Chaman-E-Dehar Mein Rooh-E-Chaman Aaraai Ho
Talaat-E-Mehar Ho, Firdaus Ki Barnaayi Ho
Bint-E-Mehtaab Ho Gardoon Se Utar Aayi Ho
Mujh Se Milne Mein Ab Andesha-E-Ruswaai Ho

Main Ne Khud Apne Kiye Ki Yeh Saza Paayi Hai
Khaaq Khud Apne Kiye Ki Yeh Saza Paayi Hai
Khaaq Mein Aah Milaayi Hai Jawaani Maine
Shola-Zaaron Mein Jalaayi Hai Jawaani Maine
Shehr-E-Khubaan Mein Ganwaai Hai Jawaani Main Ne
Khwaab-Gaahon Mein Jagaayi Hai Jawaani Main Ne

Husn Ne Jab Bhi Inaayat Ki Nazar Daali Hai
Mere Paimaan-E-Mohbbat Ne Sipar Daali Hai
Un Dinon Mujh Pe Qayaamat Ki Junoon Taari Tha
Sar Pe Sarshaari-E-Ishrat Ka Junoon Taari Hai
Maah-Paaron Se Muhbbat Ka Junoon Taari Hai
Shahr-Yaaron Se Raqaabat Ka Junoon Taari Hai

Bistar-E-Makhmalon Sanjaab  Thi Duniya Meri
Ek Rangeen Va Hasin Khwaab Thi Duniya Meri
Jannat-E-Shauq Thi Begaana-E-Aafat-E-Samoom
Dard Jab Dard Na Ho, Kaawish-E-Darmaa Maaloom
Khaak The Deeda-E-Bebaak Mein Gardoon Ke Nazoom
Bazm-E-Parveen Thi Nigaahon Mein Kaneezon Ka Hajoom

Laal-E-Naaz Bar-Afganda Naqaab Aati Thi
Apni Aankhon Mein Liye Daawate Khwaab Aati Thi
Sang Ko Gauhar-E-Nayaab Va Giraan Jaana Tha
Dasht-E-Purkhaar Ko Firdos-E-Javan Jaana Tha
Reg Ko Silsila-E-Aab-E-Rawaan Jaana Tha
Aah Yeh Raaz Abhi Main Ne Kahan Jaana Tha

Meri Har Fateh Mein Hai Ek Hazmiyat Pinah
Har Masarrat Mein Hai Raaz-E-Gham-O-Hasrat Pinaha
Kya Sunogi Meri Majrooh Jawaani Ki Pukaar
Meri Fariyaad Jigar-Doz, Mera Naala-E-Zaar
Shidaat-E-Qarb Mein Doobi Hui Meri Guftaar
Main Ki Khud Apne Mazak-E-Tarb-Aagin Ka Shikaar

Voh Gadaaz-E-Dile Marhoom Kahaan Se Laaun
Ab Main Vo Jazba-E-Maasoom Kahan Se Laaun
Mere Saaye Se Daro Tum Meri Qurbat Se Daro
Apni Jurrat Ki Qasam Ab Meri Zaraa'at Se Daro
Tum Lataafat Ho Agar Meri Lataafat Se Daro
Mere Vaadon Se Daro Meri Mohbbat Se Daro

Ab Main Altaaf-Va-Inaayat Ka Sazavaar Nahin
Main Wafaadaar Nahin, Haan Main Waffaadaar Nahin

Ab Tum Mere Paas Aayi Ho Toh Kya Aayi Ho

---------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. sorry but this ghazal is not written by Faiz Saheb

    ReplyDelete

–>