Faiz - Ab Vahi Harf-E-Junoon Sab Ki Zubaan Thahri Hai

Ab Vahi Harf-E-Junoon

Ab Vahi Harf-E-Junoon Sab Ki Zubaan Thahri Hai
Jo Bhi Chal Nikli Hai Wo Baat Kahaan Thahri Hai

Aaj Tak Shaikh Ke Ikraam Main Jo Shay Thi Haraam
Ab Vahi Dushman-E-Deen Rahat-E-Jaan Thahri Hai

Hai Khabar Garm Ke Phirta Hai Gurezaan Naaseh
Guftagu Aaj Sar-E-Ku-E-Butaan Thahri Hai

Hai Vahi Aariz-E-Laila Vahi Sheerian Ka Dahan
Nigaah-E-Shauq Ghadi Bhar Ko Yahaan Thahri Hai

Vasl Ki Shab Thi To Kis Darja Subak Guzri Hai
Hijr Ki Shab Hai To Kya Sakht Garaan Guzri Hai

Bikhari Ek Baar To Haath Aai Kab Mauj-E-Shamim
Dil Se Nikali Hai To Kab Lab Pe Fugaan Thahri Hai

Dast-E-Sayyaad Bhi Aajiz Hai Kaf-E-Gulchin Bhi
Buu-E-Gul Thahri Na Bulbul Ki Zabaan Thahri Hai

Aate Aate Yuun Hi Dam Bhar Ko Ruki Hogi Bahaar
Jaate Jaate Yuun Hi Pal Bhar Ko Khizaan Thahri Hai

Ham Ne Jo Tarz-E-Fugaan Ki Hai Qafas Main Ijaad
“Faiz” Gulshan Main Wo Tarz-E-Bayaan Thahri Hai

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>