Faiz - Garmi-E-Shauq-E-Nazaara Ka Asar To Dekho

Garmi-E-Shauq-E-Nazaara Ka

Garmi-E-Shauq-E-Nazaara Ka Asar To Dekho
Gul Khile Jaate Hain Wo Saaya-E-Dar To Dekho

Aise Nadaan To Na The Jaan Se Guzarne Waale
Nasiho, Rahbar-O-Rahguzar To Dekho

Wo To Wo Hain Tumhain Ho Jayegi Ulfat Mujhse
Ek Nazar Tum Mera Mehboob-E-Nazar To Dekho

Wo Jo Ab Chaak Garebaan Bhi Nahin Karte Hain
Dekhne Waalo Kabhi Un Ka Jigar To Dekho

Daaman-E-Dard Ko Gulzaar Bana Rakha Hai
Aao Ek Din Dil-E-Purkhoon Ka Hunar To Dekho

Subah Ki Tarah Jhamakta Hai Shab-E-Gham Ka Ufaq
“Faiz” Taabindgi-E-Didaa-E-Tar To Dekho

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>