Faiz - Ham Par Tumhaari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai

Ham Par Tumhaari Chaah Ka

Ham Par Tumhaari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai
Dush-Naam To Nahin Hai Ye Ikraam Hi To Hai

Karte Hain Jis Pe Taa'na, Koi Jurm To Nahin
Shauq-E-Fuzool-O-Ulfat-E-Naakaam Hi To Hai

Dil Muddai Ke Harf-E-Malaamat Se Shaad Hai
Ae Jaan-E-Jaan Ye Harf Tera Naam Hi To Hai

Dil Naa-Ummid To Nahin, Naa-Kaam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai

Dast-E-Falak Men, Gardish-E-Taqadeer To Nahin
Dast-E-Falak Men, Gardish-E-Ayyaam Hi To Hai

Aakhir To Ek Roz Karegi Nazar Wafaa
Wo Yaar-E-Khush-Khasaal, Sar-E-Baam Hi To Hai

Bheegi Hai Raat 'Faiz' Ghazal Ibtidaa Karo
Waqt-E-Sarod Dard Kaa Hangaam Hi To Hai

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>