Faiz - Ham Paravarish-E-Lauh-O-Qalam Karate Rahenge


Ham Paravarish-E-Lauh-O-Qalam

Ham Paravarish-E-Lauh-O-Qalam Karate Rahenge
Jo Dil Pe Guzarti Hai Raqam Karte Rahenge

Asbaab-E-Gham-E-Ishq Baham Karte Rahenge
Weeraani-E-Dauraan Pe Karam Karte Rahenge

Haan Talkhi-E-Ayyaam Abhi Aur Badhegi
Haan Ahal-E-Sitam Mashq-E-Sitam Karte Rahenge

Manzoor Ye Talkhi–E- Sitam Ham Ko Gawaara
Dam Hai To Madaawaa-E-Alam Karte Rahenge

Maikhaana Salaamat Hai To Ham Surkhi-E-May Se
Tazzeen-E-Dar-O-Baam-E-Haram Karte Rahenge

Baaqi Hai Lahoo Dil Men To Har Ashk Se Paida
Rang-E-Lab-O-Rukhsaar-E-Sanam Karte Rahenge

Ek Tarz-E-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ek Arz-E-Tamannaa Hai So Ham Karte Rahenge

-----------------

Post a Comment

0 Comments

–>