Faiz - Meri Masti Mein Bhi Ab Hosh Hi Ka Taur Hai Saaqi

Meri Masti Mein Bhi Ab

Meri Masti Mein Bhi Ab Hosh Hi Ka Taur Hai Saaqi
Tere Saaghar Mein Yeh Sahba Nahi Kuch Aur Hai Saaqi

Bhadakti Jaa Rahi Hai Dam-Ba-Dam Ik Aag Si Dil Mein
Yeh Kaise Jaam Hain Saaqi Yeh Kaisa Daur Hai Saaqi

Voh Shai De Jis Se Neend Aa Jaaye Aql-E- Fitna Parwar Ko
Ki Dil Aazarda-E Tameez-E-Lutf-O-Zor Hai Saaqi

Kahin Ik Rind Aur Daamand-E-Afkaar-E-Tanhai
Kahin Mehfil Ki Mehfil Taur Se Be-Taur Hai Saaqi

Jawani Aur Yun Ghir Jaaye Toofan-E-Hawaadis Mein
Khuda Rakhe Abhi To Bekhudi Ka Daur Hai Saaqi

Chhalakti Hai Jo Tere Jaam Se Uss Mai, Ka Kya Kehna
Tere Shaadaab Honton Ki Magar Kuch Aur Hai Saaqi

Mujhe Peene De Peene De Ki Tere Jaam-E-Laa'leen Mein
Ab Kuch Aur Hai, Kuch Aur Hai,, Kuch Aur Hai Saaqi

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>