Faraz - Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala

Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala

Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhane Wala,
Wohi Andaz Hai Zalim Ka Zamane Wala,

Ab Ise Log Samajhate Hain Giraftar Mera,
Sakht Naadim Hai Mujhe Daam Mein Lane Wala,

Kya Kahen Kitne Marasim The Hamare Is Se,
Wo Jo Ik Shakhs Hai Munh Pher Ke Jane Wala,

Tere Hote Hue Aa Jati Thi Sari Duniya,
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aaney Wala ,

Muntazir Kis Ka Hoon Tooti Hui Dehleez Pe Main
Kaun Aayega Yahan Kaun Hai Aane Wala,

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte,
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Bataane Wala,

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna,
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala,

Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz',
Dost Hota Nahin Har Haath Milane Wala

------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>