Faraz - Har Tamaashaai Faqat Saahil Se Manzar Dekhta


 Har Tamaashaai Faqat Saahil Se Manzar Dekhta,
Kaun Dariyaa Ko Ulataa Kaun Gauhar Dekhta,

Wo To Duniya Ko Meri Deewaangi Khush Aa Gai,
Tere Haathon Men Wagarna Pahla Patthar Dekhta,

Aankh Men Aansoo Jhade The Par Sada Tujh Ko Na Di,
Is Tawaqqo Par Ki Shaayad Too Palat Kar Dekhta,

Meri Qismat Ki Lakeren Mere Haathon Men Na Thin,
Tere Maathe Par Koi Mera Muqaddar Dekhta,

Zindagi Phaili Hui Thi Shaam-E-Hijraan Ki Tarah,
Kis Ko Itnaa Hausala Tha Kaun Jee Kar Dekhta,

Doobne Waala Tha Aur Saahil Pe Chehron Kaa Hujoom ,
Pal Ki Mohlat Thi Main Kis Ko Aankh Bhar Ke Dekhta

Too Bhi Dil Ko Ik Lahoo Ki Boond Samjha Hai `Faraz`.
Aankh Gar Hoti To Qatre Men Samandar Dekhta

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>