Faraz - Teri Yaadon Kaa Wo Aalaam Nahin Hai

Teri Yaadon Kaa Wo Aalaam Nahin Hai
Teri Yaadon Kaa Wo Aalaam Nahin Hai,
Magar Dil Ki Udaasi Kam Nahin Hai.

Hamen Bhi Yaad Hai Wo Marg-E-Tamannaa,
Magar Ab Fursat-E-Maatam Nahin Hai,

Hawaa-E-Qarb-E-Manzil Kaa Buraa Ho,
Firaaq-E-Hamsafar Kaa Gham Nahin Hai,

Junoon-E-Paarsaai Bhi To Naaseh,
Meri Deewaangi Se Kam Nahin Hai

Ye Kyaa Gulshan Hai, Jis Gulshan Mein Logon,
Bahaaron Kaa Koi Mausam Nahin Hai,

Qayaamat Hai Ke Har Mai-Khwaar Pyaasaa,
Magar Koi Harif-E-Jam Nahin Hai,

Salibon Pe Khinche Jaate Hain Lekin,
Kisi Ke Haath Mein Parcham Nahin Hai,

“Faraz” Is Qaht-Zaar-E-Raushni Mein,
Chiraaghon Ka Dhooaan Bhi Kam Nahin Hai.

----------------------


Post a Comment

0 Comments

–>