Ghar Se Soch Ke Nikla Hun Ki Mar Jaana Hai - Rahat Indori

Ghar Se Soch Ke Nikla Hun

Ghar Se Soch Ke Nikla Hun Ki Mar Jaana Hai
Ab Koi Raah Dikha De Ki Kidhar Jaana Hai

Jism Se Saath Nibhane Ki Ummeed Na Rakho
Is Musafir Ko To Raste Main Thahar Jaana Hai

Maut Lamhe Ki Sadaa Zindegi Umron Ki Pukaar
Main Yahi Soch Ke Zinda Hoon Ki Mar Jaana Hai

Nasha Aisa Tha Ki Mai-Khaane Ko Duniya Samjha
Hosh Aaya To Khayaal Aaya Ke Ghar Jaana Hai

Mere Jazbe Ki Badi Qadar Hai Logon Main Magar
Mere Jazbe Ko Mere Saath Hi Mar Jaana Hai

------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>