Intezamaat Naye Sire Se Sambhaale Jaayen - Rahat Indori

Intezamaat Naye Sire Se Sambhaale Jaayen

Intezamaat Naye Sire Se Sambhaale Jaayen
Jitne Kamzarf Hain Mehfil Se Nikaale Jaayen

Mera Ghar Aag Ki Lapton Main Chupa Hai Lekin
Jab Maza Hai Tere Aangan Main Ujaale Jaayen

Gam Salamat Hai To Peete Hi Rahenge Lekin
Pehle Maikhane Ki Haalat Sambhaale Jaayen

Khaali Waqton Main Kahin Baith Ke Rolen Yaaro
Fursatain Hain To Samandar Hi Khangaale Jaayen

Khaak Main Yun Na Mila Zabt Ki Tauheen Na Kar
Ye Wo Aansun Hain Jo Duniya Ko Baha Le Jaayain

Ham Bhi Pyaase Hain Ye Ehsaas To Ho Saaqi Ko
Khaali Sheeshe Hi Hawaaon Main Uchhaale Jaayen

Aao Shahar Main Naye Dost Banaayen “Rahat”
Aastinon Main Chalo Saanp Hi Paale Jaayen

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>