Iqbal - Gesu-E- Taabdaar Ko Aur Bhi Taabdaar Kar


Gesu-E- Taabdaar Ko Aur Bhi

Gesu-E- Taabdaar Ko Aur Bhi Taabdaar Kar
Hosh-O-Khirad Shikar Kar Qalb-O-Nazar Shikar Kar

Tu Hai Mahit-E-Bekaraan Main Zara Si Aabaju
Ya Mujhe Ham-Kinaar Kar Ya Mujhe Be-Kinar Kar

Main Hoon Sadaf To Tere Haath Mere Gauhar Ki Aabru
Main Hoon Khazaf To Tu Mujhe Gauhar-E-Shaahwar Kar

Naghma-E-Naubahaar Agar Mere Nasib Main Na Ho
Is Dam E Nim Soz Ko Taairak-E-Bahaar Kar

Ishq Bhi Ho Hijaab Main Husn Bhi Ho Hijaab Main
Ya Tu Khud Aashkaar Ho Ya Mujh Ko Aashkar Kar

Baag-E-Bahisht Se Mujhe Hukm-E-Safar Diya Tha Kyon
Kaar-E-Jahaan Daraaz Hai Ab Mera Intezaar Kar

Roz-E-Hisaab Jab Pesh Ho Mera Daftar-E-Amal
Aap Bhi Sharmsaar Ho Mujh Ko Bhi Sharmsaar Kar

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>