Iqbal - Kabhi Ai Haqeeqat-E-Muntazir Nazar A Libaas-E-Majaz Mein

Kabhi Ai Haqeeqat-E-Muntazir

Kabhi Ai Haqeeqat-E-Muntazir Nazar A Libaas-E-Majaz Mein
Ke Hazaaron Sajde Tarap Rahe Hain Teri Jabin-E-Niyaaz Mein

Tarab Aashna-E-Kharosh Ho Tu Nawa Hai Mahram-E-Gosh Ho
Wo Suroor Kya Ke Chaaya Hua Ho Sukut-E-Parda-O-Saaz Mein

Tu Bachaa Bachaa Ke Na Rakh Ise Tera Aaina Hai Wo Aaina
Ke Shikasta Ho To Aziz Tar Hai Nigaah-E-Aaina-Saaz Mein

Dam-E-Tauf Kar Mak-E-Shamma Ne Ye Kaha Ke Wo Asr-E-Kohan
Na Teri Hikaayat-E-Soz Mein Na Meri Haadis-E-Gudaaz Mein

Na Kahin Jahan Mein Amaan Mili Jo Amaan Mili To Kahaan Mili
Mere Jurm-E-Khana-Kharaab Ko Tere Azo-E-Banda-Nawaaz Mein

Na Wo Ishq Mein Rahin Garmiyaan Na Wo Husn Mein Rahin Shokhiyaan
Na Wo Gaznawi Mein Tarap Rahi Na Wo Kham Hai Zulf-E-Ayaaz Mein

Jo Main Sar-Ba-Sajda Kabhi Hua To Zameen Se Aa Ne Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam-Aashna Tujhe Kya Milega Namaaz Mein

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>