Iqbal - Nahin Minnat-Kash-E-Taab-E-Shanidan Dastaan Meri

Nahin Minnat-Kash-E-Taab

Nahin Minnat-Kash-E-Taab-E-Shanidan Dastaan Meri
Khaamoshi Guftgu Hai, Bezubaani Hai Zabaan Meri

Ye Dastoor-E-Zabaan-Bandi Hai Kaisi Teri Mahfil Main
Yahaan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zabaan Meri

Uthaaye Kuch Varaq Laala Ne Kuch Nargis Ne Kuch Gul Ne
Chaman Main Har Taraf Bikhri Hui Hai Dastaan Meri

Udaa Li Kumariyon Ne Tootiyon Ne Andalibon Ne
Chaman Waalon Ne Mil Kar Loot Li Tarz-E-Fughaan Meri

Tapak Ai Shama Aansu Ban Ke Parvaane Ki Aankhon Se
Saraapa Dard Hoon Hasrat Bhari Hai Dastaan Meri

Ilaahi Phir Maza Kya Hai Yahaan Duniya Main Rahne Ka
Hayaat-E-Jaavidaan Meri Na Marg-E-Naagahaan Meri

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>