Iqbal - Sach Kah Doon Ai Brahman Gar Tu Bura Na Mane

Sach Kah Doon Ai Brahman

Sach Kah Doon Ai Brahman Gar Tu Bura Na Mane
Tere Sanam-Kadon Ke But Ho Gaye Purane

Apnon Se Bair Rakhna Tu Ne Buton Se Sikha
Jang-O-Jadal Sikhaya Waaiz Ko Bhi Khuda Ne

Tang Aa Ke Akhir Mein Na Dair-O-Haram Ko Chhoda
Waaiz Ka Wa’z Chhoda, Chhode Tere Fasaane

Patthar Ki Moorton Mein Samjha Hai Tu Khuda Hai
Khaak-E-Watan Ka Mujh Ko Har Zarra Dewata Hai

Aao Ghairat Ke Parde Ik Baar Phir Utha Dein
Bichdon Ko Phir Mila Dein Naqsh-E-Dui Mita Den

Sooni Padi Hui Hai Muddat Se Dil Ki Basti
Aa Ik Naya Shiwaala Is Des Mein Bana Den

Dunia Ke Teerthon Se Ooncha Ho Apna Tirath
Daaman-E-Aasman Se Is Ka Kalas Mila Dein

Har Subah Mil Ke Gayen Mantar Wo Mithe-Mithe
Saare Pujaariyon Ko Mai Peet Ki Pila Dein

Shakti Bhi Shaanti Bhi Bhakton Ke Geet Mein Hai
Dharti Ke Baasiyon Ki Mukti Preet Mein Hai

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>