Iqbal - Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par Ghair Se Ghaafil Hoon Main



Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par Ghair Se Ghaafil Hoon Main
Haai Kya Achchi Kahi Zaalim Hoon Main Jaahil Hoon Main

Hai Meri Zillat Hi Kuch Meri Sharafat Ki Daleel
Jis Ki Ghaflat Ko Malak Rote Hain Wo Ghaafil Hoon Main

Bazm-E-Hasti Apni Aaraish Pe Too Nazaan Na Ho
Too To Ik Tasvir Hai Mehfil Ki Aur Mehfil Hoon Main

Dhoondhta Phirta Hoon Ai “Iqbal” Apne Aap Ko
Aap Hi Goya Musafir Aap Hi Manzil Hoon Main
-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>