Iqbal - Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain

Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain

Sitaaron Se Aage Jahaan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ke Imtihaan Aur Bhi Hain

Tahi Zindagi Se Nahin Ye Fazaayen
Yahaan Saikaron Kaarawan Aur Bhi Hain

Qana’t Na Kar Aalam-E-Rang-O-Bu Par
Chaman Aur Bhi, Aashiyaan Aur Bhi Hain

Agar Kho Gaya Ek Nasheman To Kya Gham
Maqaamat-E-Aah-O-Fughan Aur Bhi Hain

Too Shaahin Hai Parwaaz Hai Kaam Tera
Tere Saamne Aasmaan Aur Bhi Hain

Isi Roz-O-Shab Mein Ulajh Kar Na Rah Jaa
Ki Tere Zameen-O-Makaan Aur Bhi Hain

Gaey Din Ke Tanha Tha Main Anjuman Mein
Yahaan Ab Mere Raazadaan Aur Bhi Hain

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>