Iqbal - “Taraana-E-Hind” - Saare Jahan Se Achha

saare jahan se achha-allama iqbal


Saare Jahan Se Achha Hindostaan Hamara
Ham Bul-Bulen Hain Is Ki Ye Gulistaan Hamara
Ghurbat Mein Hon Agar Ham Rahta Hai Dil Watan Mein
Samjho Wahin Hamein Bhi Dil Ho Jahaan Hamara
Parwat, Wo Sab Se Ooncha Hamsaaya Aasman Ka
Wo Santri Hamaara Wo Pasbaan Hamara
Godi Mein Khelti Hain Is Ki Hazaron Nadiyan
Gulshan Hai Jin Ke Dam Se Rashk-E-Janan Hamara
Ai Aab-E-Rud-E-Ganga Wo Din Hai Yaad Tujh Ko
Utra Tere Kinaare Jab Karwaan Hamara
Mazhab Nahin Sikhata Aapas Mein Bair Rakhna
Hindi Hain Ham, Watan Hai Hindostaan Hamara
Yoonaan -O-Misr-O-Roma Sab Mit Gaye Jahan Se
Ab Tak Magar Hai Baaqi Naam-O-Nishaan Hamara
Kuch Bat Hai Ki Hasti Mitati Nahin Hamaari
Sadyon Rahaa Hai Dushman Daur-E-Zamaan Hamara
'Iqbal' Koi Mahram Apna Nahin Jahaan Mein
Maloom Kya Kisi Ko Dard-E-Nihaan Hamara
                -------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>