Iqbal - Utho Meri Dunia Ke Gharibon Ko Jaga Do

Utho Meri Dunia Ke Gharibon Ko Jaga Do

Utho Meri Dunia Ke Gharibon Ko Jaga Do
Khaak-E-Umra Ke Dar-O-Deewar Hila Do

Garmao Gulaamon Ka Lahu Soz-E-Yaqin Se
Kunj Ishq-E-Phiromaya Ko Shaahin Se Lara Do

Sultaani-E-Jamahur Ka Aata Hai Zamana
Jo Naqsh-E-Kuhan Tum Ko Nazar Aaye Mita Do

Jis Khet Se Dahqaan Ko Mayassar Nahin Rozi
Us Khet Ke Har Khosha-E-Gandum Ko Jala Do

Kyon Khaliq-O-Makhlooq Mein Hayal Rahen Parde
Piraan-E-Kaleesa Ko Kaleesa Se Hata Do

Main Naa-Khush-O-Bezar Hoon Marmar Ki Silon Se
Mere Liye Mitti Ka Haram Aur Bana Do

Tahzeeb-E-Nawin Kargah-E-Shisha-Garan Hai
Adab-E-Junoon Shaayar-E-Mashriq Ko Sikha Do

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>