Jigar - Hamko Mita Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin



Hamko Mita Sake Ye Zamane Mein Dam Nahin
Hamse Zamana Khud Hai Zamane Se Ham Nahin

Befayda Alam Nahin, Bekaar Gham Nahin
Taufiq De Khuda To Ye Neamat Bhi Kam Nahin

Meri Zubaan Pe Shikawa-E-Ahl-E-Sitam Nahin
Mujhko Jaga Diya Yahi Ehsaan Kam Nahin

Yaa Rab! Hujoom-E-Dard Ko De Aur Wusaten
Daaman To Kya Abhi Meri Aankhain Bhi Nam Nahin

Zaahid Kuch Aur Ho Na Ho Maikhaane Mein Magar
Kya Kam Ye Hai Ki Shikawa-E-Dair-O-Haram Nahin

Shikwa To Ek Ched Hai Lekin Haqeeqatan
Tera Sitam Bhi Teri Inaayat Se Kam Nahin

Marg-E-Jigar Pe Kyon Teri Aankhain Hain Ashk-Rez
Ik Saaniha Sahi Magar Itni Aham Nahin

--------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>