Jigar - Ishq Ko Be-Naqaab Hona Tha



Ishq Ko Be-Naqaab Hona Tha
Aap Apna Jawaab Hona Tha

Teri Ankhon Ka Kuch Qusoor Nahin
Haan Mujhi Ko Kharaab Hona Tha

Dil Ki Jis Par Hain Naqsh-E-Ranga-Rang
Us Ko Sadaa Kitaab Hona Tha

Hamne Naakaamiyon Ko Dhoond Liya
Aakhirash Kaamyaab Hona Tha

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>