Masjidon Ke Sahan Tak Jaana Bahut Dushwaar Tha - Rahat Indori

Masjidon Ke Sahan Tak Jaana

Masjidon Ke Sahan Tak Jaana Bahut Dushwaar Tha
Der Se Nikla To Mere Raaste Main Daar Tha

Apne Hi Phailaao Ke Nashe Main Khoya Tha Darakht
Aur Har Masoom Tehni Par Phalon Ka Baar Tha

Dekhte Hi Dekhte Shahron Ki Raunaq Ban Gaya
Kal Yahi Chehra Tha Jo Har Aaine Pe Baar Tha

Sab Ke Dukh Sukh Us Ke Chehre Pe Likhe Paaye Gaye
Aadmi Kya Tha Hamaare Shahar Ka Akhbaar Tha

Ab Mohalle Bhar Ke Darwaazon Pe Dastak Hai Naseeb
Ek Zamana Tha Ke Jab Main Bhi Bahut Khuddaar Tha

Kaagazon Ki Sab Siyaahi Baarishon Main Dhul Gai
Ham Ne Jo Socha Tere Baare Main Sab Bekaar Tha

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>